Samajh nahi aata ke suruat kaise karu
Abhi to maine tujhe jee bhar ke dekha bhi nahi
Tere aane ki aahat meri dhadkan ko chalne ki wajah mil jati ho jaise
Tere pair padne se zameen ko khud par fakr hota ho jaise
Jab tum chalti ho meri nigahe jaise bas tumko hi dekhna chahati hai
Kho jana chahati hai tujhme hi bas tera hi ho jana chahati hai
Tere hoth jaise gulab ki pankhudi bhi sharmaa jaye
Teri aankhen jaise kajal bhi khud ko feeka mahasoos karta ho
Teri aankon ko dekh kar main jaise nashe me kho jata hu
Agle hi pal me khud ko jannat ke darwarje pe pata hu
Tere palake uthane par jaise suraj nilne ki tyari me laga jata hai
Zulfen jab bikhrati ho mano ghataye or andhera cha jata hai
Teri hansi jaise chidiyo ko chahakne ki ek wajah mil gayi ho
Phoolo ko bhi khilne ka bahana mil gya ho
Tere khamoshi bhi itni khobsurat hai ke baat karna chhod du
Tere ek isara jaise kaynath ko jhuka dene ka hukum deta ho
Gar khawabo me bhi sochta hu tujhe pane ki to raate ruth jati hai
Wo bhi tujhe paane ke koi sajish rach rahin jo jaise
Khuda bhi jalta hai tumhe is duniya me bhejne ke baad
Tujhe banane me jaise uski bhi ek umar beeti ho
Tumhe mahfooz kaise karu is jahan se kuch to bta
Teri hifazat me jaise khud ko bhi jala lu main
Ab din mahine saal beetne ke baad wo har lamhat beetne ke baad
Mere dil ne tumko jagah di hai apne dil se pahale mere dil ke baad
Do dilo ke beech rakkha hai tumko main ab khona nahi chahata
Bahut roya hu rahkar door tumse main ab rona nahi chahata
Ab ye hoth to khol kuch bol jo mere dil ko bhi sunai de aawaz teri
Wo intezaar me rahata hai teri ek aahat sunne ko
Ab tum mere ho par mujhe jaane kyu yakeen nahi aata
Jaise kisi faqir ko khazana raas nahi aata
Tumhe dekhkar hi mere dil ko sukoon mil jata hai
Par jaane kyu teri ruh tak jaane ko jee chahata hai
Gar izajat de tu mujhe main tujhme hi bas jau
Tu kahe to chalu nahi to ruk jau bta ruk jau
Mere hare khayalat me tu hai mere har ek lamhat me tu hai
Kaise karu puri kahani apni meri har baat me tu hai
Apna saya daal mujhpe ab mukammal to kar de
Ya bahati hui in aankhon ko patthar to kar de
Ek ho jaye dono do na rahe chal
Muskil hai jeena tere bina ek ek pal
Teri halki si muskurahat ne wo kaam kar diya
Ek taraf tu ek taraf sara jahan kar diya.... Ek taraf tu ek taraf sara jahan kar diya
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete