Ye nahi janta hu main bhi
ke kya likh kar shuruat karu,
iss khusi me likhna chata hu
main khul kar sab se baat karu
Jo ho rha hai, hoga jeevan me
que iski chinta din raat karu
Ye nahi janta hu main bhi
ke kya likh kar shuruat karu
Galti jeevan me ho koi
too use chipana padta hai,
sahi samaya dekh kar hi hamko
sabko batlana padta hai,
Ek galti mujh se bhi ho gyi hai
par chipa nahi main paunga,
iss gambheer samashya ka
samadhan main lekar aaunga
Kuch log yu akshar jeevan me
sapno ka ka mahal banate hai,
ab kon ye puchega unse
kya sab sapne sach ho jate hai,
Sapne wo nahi hote jo hamko
ek chain ki need dilate hai,
sapne wo hote hai jo
din or raat me fark mitate hai.
Ab ek rasta samne hai
gam ko khusi se aadaan karu,
ye nahi janta hu main bhi
ke kya likh kar shuruat karu............Ek Shuruat
Nice line
ReplyDeleteThank you Vijay
DeleteNice line
ReplyDelete