Chidiya Jo udna chahati hai Wo Pankhon ko faila kar aasmaan ko chuna chahati hai
Khoobiyan anek hai usme Usme se ek khoobi ye bhi hai wo bahut kam bolti hai
Magar uski taarif me main jitna bolu wo kam hai
Usme khamiya doondna jaise aaine me kamiya nikalna
Use jhoot se aata hai gussa muskil hota hai khud ko sambhalna
Ajanabi se ham Ajanabi sa sahar Ajanabi si baatcheet hui
Main nahi janta ke kaise usse mulaqat hui din dhale bahut magar asap pahunche ham ek din jab raat hui
Dilchasp sa libas pahana tha naqab tha uske chehere pr
Ghungharale se baalo ko tha khola kaajal tha baithya pahare par
Use meri baaton par yakin kam hi hota hai
Kyoki har waqt meri baaton me gam hi hota hai
Wo apni baaten itni safai se pesh karti hai
Magar naa jaane kyu thodi si darti hai
Main koshish karta hu use itna bta pau
Khishi samne rakh uske har gam chupa pau
Ittefakan bhi usko koi pareshani na ho
Uske roz ke kaamo me chedkhani na ho
Dekh dur se lu use paas jaane ka koi armaan nahi
Parinda wo hu jo fadfda sakta hai udne ke liye in pankho me ab jaan nahi
Dekhna chahata hu use udte hue sapne pure karte hue
Usko jee bharke jeete hue or khud ko uspe marte hue
To be continued…
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete