Jo bhulade apna gam meri khushi me
Aise mere "PAPA" hai,
Na kal ki chinta mujhe, na aaj ka dar hai
Aise mere papa hai,
Aanshon na dekh sakte hai, Aankhon me meri,
Wo jaddu si anguliyan, Mere mathe par pheri,
Kitna hanseen tha wo ek ek pal
Jo gujara tha maine chaya me teri,
Wo anguli pakad kar chalaana tumhara
Wo baagon me jhula jhulaana tumhara,
Na lag jaye kanta nanhe pao me mere
Wo Kandhe bithakar ghumana tumhara,
Galti pe meri mujhe samjhate the
Gam lete the khud, Khushi mujko de jate the,
Nami na dikhe tumko aankhon me meri
Nami apni aankhon ki mujhse chipate the,
Main jo aaj hu tumhi se hoon
Tere naam se hai juda naam mera,
Ab her gam churaloo main jeevan se tere
Karu door, Chaya hai jo bhi andhera,
Ek baar main bola papa se
Aap sadharan inshan nahi,
Meri jaan agar kuch kaam aaye
Toh mujhsa bhagyawan nahi,
Sheene se mujhe lagakar ke
Papa ne mujhe ek baat kahi,
Teri jaan me hi meri jaan basi hai
Yeh kaam lene ki chiz nahi.......Aise mere papa hai
Tum sath mere jab hote ho
Jeevan ko safal main paa jau,
"Khuda" bhi puche jo khawaish meri
Har Janam me Pitaa tumhe pau,
Dikthe hai jinme Bhagwan mujhe
Aise mere papa hai,
Jinse hai behad pyar mila
Aise mere papa hai....Aise mere papa hai
Great Written...
ReplyDelete