Hai Kasam mujhe "Dharti Maa" ki
Jhukne na tera sar dunga
Dushman me taqat ho jitni
Use tahas nahas main kar dunga,
Hai parn liya maine khud se
Katra katra main lahu bha dunga
Papi jo chipe baithe hai yha
unke main nishan mita dunga,
Jab jab hai sankat aaya "Maa"
Tere laal ne har nahi mani
Ek baar kadam gar badh jaye
Phir jeet hame hi hai paani,
Hathiyar liye in hathon me
Hum ek ek kadam badhayenge
Sogandh hai tere charno main
Dushman ka sish jhukayenge,
Goli bhi lage chahe seene
Kaya se praan nikal jaye
Chahe sans rahe na is dil me
Bas teri tasveer nazar aaye,
Haste haste soo jaunga
Tujhko na bhula "Maa" paunga
Ek naam amar kar jaunga
Main Veer Saheed Kahalaunga.
Rahu tere Aanchal ki chaya me
Main phir ek baar janam lunga
Mera jeevan hai "Maa" den teri
Tujh pe hi samarpit kar dunga,
Hai kasam mujhe Dharti Maa ki
Jhukne na tera sar dunga.
Gajab Kya bat hai
ReplyDeleteJai Hind
Thanks bro
Delete