Skip to main content

Heart Broken

Mere Paas mere Gam ke alawa 
Khone ko kuch nahi,
Har Gam pe Roo chuka hu SO-SO bar
Ab mere paas rone ko kuch nahi,

Kyo le rahi hai Zindgi imtihan mera
Har Zakham pakar khoya hai maine,
Ab mere paas khone ko kuch nahi,,

Tut gya agar main bhi Ban ke Sitara,
Kya koi girte hue thamega mujko,
Jab Aksh bhi nahi milega Asmaan me mera
To kon janega mujhko,
Baki Se na Sikwa na sikayat hai mujhko
Mere baad kya yaad meri aayegi tujhko,

Waqt se kuch Waqt manglunga Badalne ke liye
Pyar bhi kuch Pyar de Agar Sambhalne ke liye,
Ek Bar khuda bhi chahe Sath chor de mera  
Koshish karunga tere gam se nikalne ke liye,

Rah me Phul ho ya Angaare kya fark padta hai
Gam Sarhad bhul gya hai apni har Dard se ladta hai,
Bas aajmana chahata hu tere pyar ko ek baar main
Jiske Ehasas se mera Gam bhi Ro padta hai,

Ab aadat hai mujhe Zakham par Zakham khane ki
Zakham bhar gya to jeene ka rang badal jayega,
Chupa ke raktha hu ek "Dil" hai jo seene me
Teri Nazar ki Aag se wo bhi pighal jayega,

Khakar kya Zahir karu
Tujhe malum hai mere jine ka Salika,
Dard se mittha kuch nahi 
Har Marham bhi lagne laga hai Fikaa,

Zayaj hai Narazagi teri  Tu Hansi hai, 
Hai Haq tujhe Naraz hone ka,
Gam-E-Dastan bayan karte karte Dil tut gya 
Ab kya Karunga main iss Khilone ka,

Main bas intezaar karunga
Apni "Maut" se ishq rachane ka
Aur Kabr me chain se Sone ka,
Jo Sahara tha mera, tha jiske liye Zinda
Wo Haq bhi chhin liya tune Rone ka,

Mubarak ho tumhe ye Sapno ka Aashiyana
Agar Ho Khawahish ke dobara mile hum,
Pair rakh kar meri Kabr par Thoda dard de jana,

Alvida kahane ka Honsla Na Ab mera hoga,
Aaj Tutne wala dil mera tha 
Yaad rakh ........Kal tera Hoga


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mere Papa

Jo bhulade apna gam meri khushi me Aise mere "PAPA" hai, Na kal ki chinta mujhe, na aaj ka dar hai Aise mere papa hai, Aanshon na dekh sakte hai, Aankhon me meri, Wo jaddu si anguliyan, Mere mathe par pheri, Kitna hanseen tha wo ek ek pal Jo gujara tha maine chaya me teri, Wo anguli pakad kar chalaana tumhara Wo baagon me jhula jhulaana tumhara, Na lag jaye kanta nanhe pao me mere Wo Kandhe bithakar ghumana tumhara, Galti pe meri mujhe samjhate the Gam lete the khud, Khushi mujko de jate the, Nami na dikhe tumko aankhon me meri Nami apni aankhon ki mujhse chipate the, Main jo aaj hu tumhi se hoon Tere naam se hai juda naam mera, Ab her gam churaloo main jeevan se tere Karu door, Chaya hai jo bhi andhera, Ek baar main bola papa se  Aap sadharan inshan nahi, Meri jaan agar kuch kaam aaye Toh mujhsa bhagyawan nahi, Sheene se mujhe lagakar ke Papa ne mujhe ek baat kahi, Teri jaan me hi meri jaan basi hai Yeh kaam

Ek Shuruat

Ye nahi janta hu main bhi  ke kya likh kar shuruat karu,  iss khusi me likhna chata hu  main khul kar sab se baat karu Jo ho rha hai, hoga jeevan me  que iski chinta din raat karu Ye nahi janta hu main bhi  ke kya likh kar shuruat karu Galti jeevan me ho koi too use chipana padta hai,  sahi samaya dekh kar hi hamko sabko batlana padta hai, Ek galti mujh se bhi ho gyi hai par chipa nahi main paunga, iss gambheer samashya ka samadhan main lekar aaunga Kuch log yu akshar jeevan me sapno ka ka mahal banate hai, ab kon ye puchega unse  kya sab sapne sach ho jate hai, Sapne wo nahi hote jo hamko ek chain ki need dilate hai, sapne wo hote hai jo din or raat me fark mitate hai. Ab ek rasta samne hai gam ko khusi se aadaan karu, ye nahi janta hu main bhi ke kya likh kar shuruat karu............Ek Shuruat ravipundirblogs

Chidiya

Chidiya Jo udna chahati hai Wo Pankhon ko faila kar aasmaan ko chuna chahati hai  Khoobiyan anek hai usme Usme se ek khoobi ye bhi hai wo bahut kam bolti hai  Magar uski taarif me main jitna bolu wo kam hai Usme khamiya doondna jaise aaine me kamiya nikalna  Use jhoot se aata hai gussa muskil hota hai khud ko sambhalna Ajanabi se ham Ajanabi sa sahar Ajanabi si baatcheet hui Main nahi janta ke kaise usse mulaqat hui din dhale bahut magar asap pahunche ham ek din jab raat hui Dilchasp sa libas pahana tha naqab tha uske chehere pr Ghungharale se baalo ko tha khola kaajal tha baithya pahare par Use meri baaton par yakin kam hi hota hai  Kyoki har waqt meri baaton me gam hi hota hai  Wo apni baaten itni safai se pesh karti hai  Magar naa jaane kyu thodi si darti hai  Main koshish karta hu use itna bta pau  Khishi samne rakh uske har gam chupa pau  Ittefakan bhi usko koi pareshani na ho  Uske roz ke kaamo me chedkhani na ho  Dekh dur se lu use paas jaane ka koi armaan nahi  Parinda wo hu jo