Main sochti hu ke ye sansar mujhe
Kyo nahi apnata hai,
Jimmewar maanta hai mujhe
Gunah khud kiye jata hai,
Kyo khule ashmaan me saans
Lene ka mujhe adhikar nahi,
Wo khud kare inkaar nahi,
Beti aur Bete me fark
To inshan me banaya hai,
Nari sakthi ko to shish
Bhagwan ne jhukaya hai,
Agar hai nahi vishwas to
Itihas utha kar dekh lo,
Sardha manu ki Gatha ka
saransh utha kar dekh lo,
Utha kar dekh lo
"Maa" parwati ki pratigya,
Ya phir jag janni Sita ka
Abhimaan utha kar dekh lo,
Main ye bhi nahi kahungi ki
Sabhi nari ek saman hai,
Kuch hai hamme "Pragya"
Kuch thodi si "Agyan" hai,
Jo padaye likhaye beti ko
Usko mera pranaam hai,
Jab aankhen meri khulti hai
Mujhe yahi shikhaya jata hai,
Tum kamjor kadi ho jeevan ki
Bas Shish Jhukaya jata hai,
Ye aangan teri seema hai
Is duniya se tera kaam nahi,
Kadi dhoop hai mere jeevan me
Chaya ka koi naam nahi,
Main nahi mangti hu Adhikar koi
Tum farz nibhao yahi kaphi hai,
Ek mauka do mujhe jeene ka
Jo mila nahi abhi baki hai,
Jo Rakhi bandhugi main
Apne bhai ki Kalai par
Wo mera kavach banegi,
Hoga "Abhimaan
Mere "Papa" ko mujh par
Meri mehnat ye sabit karegi,
Sukh Dukh me sath nibhane ka
Ik mauka "Maa" mujhko bhi do,
Tere dard me sath tera jo de
Tere sath koi tera to ho,
Har Maa ek din ek beti thi
Phir mujh par kyo aaj nishana hai,
Aise na mujhse muh modo
Kya tumko nahi farz nibhana hai,
Meri vinti tumse hai "Mata"
Meri tumse arz pukar hai,
Bin Beti na koi Maa hogi
Bas honi Hahakaar hai,
Jab koi sanskar nahi hoga
Kya jeena Dushwar nahi hoga,
Jab hoga nahi koi "Hamrahi"
Aapas me pyar nahi hoga,
Mera aana vayarth nahi hoga
Aisa koi anarth nahi hoga,
Jab har ghar me Beti hogi
Phir koi atyachar nahi hoga.
Comments
Post a Comment