Pitah wo akela sakhs jo apne bachho ko khud se jayada kamyabi dena chahata hai, apne baccho ko us maukam tak le jaane me pitah dwara kiye gaye balidan koi nahi samaj pata, lekin bacche jab chote hote hai to pitah se duriya bana ke rakhte hai ek dar ki seema banake, magar us insaan ko bhi apne baccho se pyar ki ummed rahati hai. Aksr ham apni galtiyo ki wajah se apne maa baap se dur hote chale jaate hai. Pitah aapko apne budhape ka sahara nahi balki wo majboot kadi banana chahata hai jo apne pariwar ko pyar se baandh ke rakhe.
Jab koi patang aasmaan me udti hai to ek waqt aata hai jab usko lagta hai agar ye door kaat di jaaye main aasmaan chhu sakti hu, magar jab uski door kaat di jaati hai to wo kuch samay ke liye aasmaan ke or badhti hai lekin kuch hi der baad wo zameen ki or itni tezi se badhti hai aur muh ke bal girti hai. Aisa hi kuch aaj ki generation ke sath hai unko apne parents ke sath aisa lagta hai jaise koi dor unhe bandhe hue hai magar ham us dor se bandhe nahi hai wo dor hame sambhale hue hai.
Aaj date 08-11-19 main jab ghar se nikla kuch aisa hi darshya dekhne ko mila, mujhe laga ke sabke sath share karna chahiye so i going to share with all of you (ravimusicpoems.blogspot.com). Ghar se nikal kar jaise hi main bus stand par gya maine office jaane ke liye bus li aur ticket lekar ek seat par jakar baith gya. Jiske upar likha tha Varishstha Nagrik, us time bus me wha aisa koi dikha nahi jise mujse jayada iss seat ki aawsykta ho, means bus me lagbhag sabhi ke paas seat thi so main wahi baith gya.
Jab bas agle stand par pahuchi to ek vayakti apne 6 ya 7 saal ke bacche ke sath us bus me enter kiya aur ticket kata kar mere barabar wali seat par baith gya. Us bacche me ek hope bhari nigaho se meri aur dekha, main thoda sa khisak kar dusri taraf ho gya, pahale to us vayakti ne usko gaud me baithaya tha aur jab main thoda khiska usne beech me baitha liya.
Kuch dur chalne par us bache ko thodi pareshani hone lagi, uski aankon me aansoo the wo bahar nikalne ke liye machalne laga aur apne papa ki pant par vomiting kar di, bus me baithe log use is tarah se dekhne lage jaise wo unka gunhegar ho aur ek dayra banakar dur ho gaye.
Bus conductor ne use bola khidki ki aur leke chale jao so wo vayakti usko exit window par le gya aur pakad kar baith gya. wo baccha saham gya tha aur dara dara lag rha tha. Main bhi us seat se uthkar apne ek colleague ke sath khada ho gya. Jo bhi wha ho rha tha main kewal dekh rha tha. Kuch dur chalke bus me ek gaurd (Marshal) tha jiske andar ki duty jaag gayi, bus stand par jaise hi bus ruki chilata hua aaya ye kya kiya kisne kiya. Aur khikdi par baithe vayakti ki or badha aur usse kahane laga ye kya kiya hai sari bus ki aisi taisi kar daali. Jaldi bahar jao aur ise kaise bhi karke saaf karo. Wo vayakti apne bacche ko ek kone me khada karke bahar gya aur ek poly-bag me mitti bhar ke le aaya, uska chehera dekhkar meri aankhen jaise nam si ho gayi. Usme mitti daal kar seat ke aas paas saaf kiya aur apne hath apne kapdo se pauchte hue apne bacche ko god me utha liya. Aur apne face par halki si smile leke apne bacche ko gaudi me utha liya. Us bache ne bhi ek dam se apne papa ke gale lag kar gahari saans li.
Us pitah ko dekh kar mujhe apne bachpan ke wo darshya yaad aane lage jo hame yaad bhi nahi hai. Wo baap jo kabhi akad kar chalta hai wahi apne baccho ke liye itna bhi jhuk jata hai ke koi aur ho tut jaye aur apne baccho le liye puri duniya se lad bhi jata hai.
I request you to respect every person who is someone's father...
No words I have to explane A PITAH....
ReplyDelete