Skip to main content

Adhura Safar...

Sayad Jab tak mere alfaaz tum tak pahuchenge bahut der ho chuki hogi
Tum umeed karte to kis roshini ki tab tak to raat ho chuki hogi
Jis Jannat ko main pana chahata the jee-te-jee
Meri Maut ke baad usse mulaqat ho chuki hongi

Tum khud ko sambhal loge itna vishwas hai mujhe
Main nahi sambhal paunga isliye door ja rha hu
Chalte chalte kitni door nikal jau maloom nahi
Jo jaga karti thi tere intezaar me wo aankhe so chuki hogi

Maine nahi socha tha ke main bhi mohabbat ki barish me bhigunga
Jaane kab doobta chala gya pta na chala
Na teri khata thi na hi mera kasoor hai isme
Nikal paunga jab tak meri saanse chhut chuki hogi

Jo bhi mujhse mila hai tujhko khushi ho ya gam
Mat lagana apne dil se aankhen kardega nam
Bas koshish karna tum bhulane ki mujhe
Main jab tak bhulunga tumko meri dhadkan ruk chuki hogi

Tere sath gujara ek ek lamha meri zindgi ka sabse hasin pal hai
Is pal me hi aaj ji rha hu is pal se hi mera kal hai
Jab tak main utaruga isse apne jahan me
Jo bahnde hai hamko wo dor toot chuki hogi

................................. #ravinayat


Comments

Popular posts from this blog

Mere Papa

Jo bhulade apna gam meri khushi me Aise mere "PAPA" hai, Na kal ki chinta mujhe, na aaj ka dar hai Aise mere papa hai, Aanshon na dekh sakte hai, Aankhon me meri, Wo jaddu si anguliyan, Mere mathe par pheri, Kitna hanseen tha wo ek ek pal Jo gujara tha maine chaya me teri, Wo anguli pakad kar chalaana tumhara Wo baagon me jhula jhulaana tumhara, Na lag jaye kanta nanhe pao me mere Wo Kandhe bithakar ghumana tumhara, Galti pe meri mujhe samjhate the Gam lete the khud, Khushi mujko de jate the, Nami na dikhe tumko aankhon me meri Nami apni aankhon ki mujhse chipate the, Main jo aaj hu tumhi se hoon Tere naam se hai juda naam mera, Ab her gam churaloo main jeevan se tere Karu door, Chaya hai jo bhi andhera, Ek baar main bola papa se  Aap sadharan inshan nahi, Meri jaan agar kuch kaam aaye Toh mujhsa bhagyawan nahi, Sheene se mujhe lagakar ke Papa ne mujhe ek baat kahi, Teri jaan me hi meri jaan basi hai Yeh kaam

Ek Shuruat

Ye nahi janta hu main bhi  ke kya likh kar shuruat karu,  iss khusi me likhna chata hu  main khul kar sab se baat karu Jo ho rha hai, hoga jeevan me  que iski chinta din raat karu Ye nahi janta hu main bhi  ke kya likh kar shuruat karu Galti jeevan me ho koi too use chipana padta hai,  sahi samaya dekh kar hi hamko sabko batlana padta hai, Ek galti mujh se bhi ho gyi hai par chipa nahi main paunga, iss gambheer samashya ka samadhan main lekar aaunga Kuch log yu akshar jeevan me sapno ka ka mahal banate hai, ab kon ye puchega unse  kya sab sapne sach ho jate hai, Sapne wo nahi hote jo hamko ek chain ki need dilate hai, sapne wo hote hai jo din or raat me fark mitate hai. Ab ek rasta samne hai gam ko khusi se aadaan karu, ye nahi janta hu main bhi ke kya likh kar shuruat karu............Ek Shuruat ravipundirblogs

Chidiya

Chidiya Jo udna chahati hai Wo Pankhon ko faila kar aasmaan ko chuna chahati hai  Khoobiyan anek hai usme Usme se ek khoobi ye bhi hai wo bahut kam bolti hai  Magar uski taarif me main jitna bolu wo kam hai Usme khamiya doondna jaise aaine me kamiya nikalna  Use jhoot se aata hai gussa muskil hota hai khud ko sambhalna Ajanabi se ham Ajanabi sa sahar Ajanabi si baatcheet hui Main nahi janta ke kaise usse mulaqat hui din dhale bahut magar asap pahunche ham ek din jab raat hui Dilchasp sa libas pahana tha naqab tha uske chehere pr Ghungharale se baalo ko tha khola kaajal tha baithya pahare par Use meri baaton par yakin kam hi hota hai  Kyoki har waqt meri baaton me gam hi hota hai  Wo apni baaten itni safai se pesh karti hai  Magar naa jaane kyu thodi si darti hai  Main koshish karta hu use itna bta pau  Khishi samne rakh uske har gam chupa pau  Ittefakan bhi usko koi pareshani na ho  Uske roz ke kaamo me chedkhani na ho  Dekh dur se lu use paas jaane ka koi armaan nahi  Parinda wo hu jo