Waqt ke sath badalna to chahata tha
Par badal na saka,
Mere paas mera "Gam" tha
Khushi ke sath bitana chahata tha kuch pal,
Bita na saka,
Mera Paas mera Gam tha.
Gam ko kaise chhod du
Tanha ab is tarha,
Furshat hi nahi mujhe
Khushiyon se mil jaane ki,
Jab khushiyon ne tanha kar diya tha mujhko
Us waqt mere paas mera Gam tha.
Ab to gam ka Sahara hai
warna dil besahara hai,
Sapne bhi dekh na paya
Na hi ek pal main so saka,
Us waqt mere paas mera Gam tha.
Anjaan tha main Gam-E-Zindgi se
Khushiyon ka lalach tha,
Ya kuch paane cahha thi
Be wajah chalta rha..Main bas chalta rha
Wo to sunsaan rah thi,
Waqt bhi hans rha tha mujh par
kyoki mere paas mera gam tha.
Jitna mere hisse me tha
Usse kuch jyada hi mil gya,
Gam-E-Rukshat ka ful
Meri zindgi me khil gya,
Khusboo iski nirali thi
Aankhon se nadiya bha jati thi,
Bhulta nahi tha main jisko
Kya yaad usko bhi aati thi.
Kya koi puchega mujko
Main kyo ye Gam apne sath raktha hu,
Dhoka dega nahi mujhko
Main itna vishwas raktha hu,
Khushiyan walo ko khushiyon me
Bas khudai dikthi hai,
Main unse door rahta hu
Gam se judai dikthi hai,
Jisse ki wafa maine
Ushko bewafai dikhti hai,
Gam mera raag hai, aawaj hai
Hai Sans lene ka ek Jaraiyan,
Main jisme doob jata hu
Kitna gahara hai ye dariyan,
Rolu jee bhar ke aaj
Jaane kyo ye mera man tha,
Jab khushi thi mujse door
Mere paas mera Gam tha.
Mere paas mera aur sirf mera "Gam" tha.........
हिला कर ही रख दिया इसने तो भाई।
ReplyDeleteमेरा गम 😥😢