Hai Kasam mujhe "Dharti Maa" ki Jhukne na tera sar dunga Dushman me taqat ho jitni Use tahas nahas main kar dunga, Hai parn liya maine khud se Katra katra main lahu bha dunga Papi jo chipe baithe hai yha unke main nishan mita dunga, Jab jab hai sankat aaya "Maa" Tere laal ne har nahi mani Ek baar kadam gar badh jaye Phir jeet hame hi hai paani, Hathiyar liye in hathon me Hum ek ek kadam badhayenge Sogandh hai tere charno main Dushman ka sish jhukayenge, Goli bhi lage chahe seene Kaya se praan nikal jaye Chahe sans rahe na is dil me Bas teri tasveer nazar aaye, Haste haste soo jaunga Tujhko na bhula "Maa" paunga Ek naam amar kar jaunga Main Veer Saheed Kahalaunga. Rahu tere Aanchal ki chaya me Main phir ek baar janam lunga Mera jeevan hai "Maa" den teri Tujh pe hi samarpit kar dunga, Hai kasam mujhe Dharti Maa ki Jhukne na tera sar dunga. http://ravim
Follow your heart But take your Brain with you...