Samajh nahi aata ke suruat kaise karu Abhi to maine tujhe jee bhar ke dekha bhi nahi Tere aane ki aahat meri dhadkan ko chalne ki wajah mil jati ho jaise Tere pair padne se zameen ko khud par fakr hota ho jaise Jab tum chalti ho meri nigahe jaise bas tumko hi dekhna chahati hai Kho jana chahati hai tujhme hi bas tera hi ho jana chahati hai Tere hoth jaise gulab ki pankhudi bhi sharmaa jaye Teri aankhen jaise kajal bhi khud ko feeka mahasoos karta ho Teri aankon ko dekh kar main jaise nashe me kho jata hu Agle hi pal me khud ko jannat ke darwarje pe pata hu Tere palake uthane par jaise suraj nilne ki tyari me laga jata hai Zulfen jab bikhrati ho mano ghataye or andhera cha jata hai Teri hansi jaise chidiyo ko chahakne ki ek wajah mil gayi ho Phoolo ko bhi khilne ka bahana mil gya ho Tere khamoshi bhi itni khobsurat hai ke baat karna chhod du Tere ek isara jaise kaynath ko jhuka dene ka hukum deta ho Gar khawabo me bhi sochta hu tujhe pan...
Follow your heart But take your Brain with you...