Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2017

Heart Broken

Mere Paas mere Gam ke alawa  Khone ko kuch nahi, Har Gam pe Roo chuka hu SO-SO bar Ab mere paas rone ko kuch nahi, Kyo le rahi hai Zindgi imtihan mera Har Zakham pakar khoya hai maine, Ab mere paas khone ko kuch nahi,, Tut gya agar main bhi Ban ke Sitara, Kya koi girte hue thamega mujko, Jab Aksh bhi nahi milega Asmaan me mera To kon janega mujhko, Baki Se na Sikwa na sikayat hai mujhko Mere baad kya yaad meri aayegi tujhko, Waqt se kuch Waqt manglunga Badalne ke liye Pyar bhi kuch Pyar de Agar Sambhalne ke liye, Ek Bar khuda bhi chahe Sath chor de mera   Koshish karunga tere gam se nikalne ke liye, Rah me Phul ho ya Angaare kya fark padta hai Gam Sarhad bhul gya hai apni har Dard se ladta hai, Bas aajmana chahata hu tere pyar ko ek baar main Jiske Ehasas se mera Gam bhi Ro padta hai, Ab aadat hai mujhe Zakham par Zakham khane ki Zakham bhar gya to jeene ka rang badal jayega, Chupa ke raktha hu ek "Dil" hai jo seene me

Beti Ki Pukar......

Main sochti hu ke ye sansar mujhe  Kyo nahi apnata hai, Jimmewar maanta hai mujhe Gunah khud kiye jata hai, Kyo khule ashmaan me saans  Lene ka mujhe adhikar nahi, Main karti hu to gunah hai Wo khud kare inkaar nahi, Beti aur Bete me fark To inshan me banaya hai, Nari sakthi ko to shish  Bhagwan ne jhukaya hai, Agar hai nahi vishwas to  Itihas utha kar dekh lo, Sardha manu ki Gatha ka  saransh utha kar dekh lo, Utha kar dekh lo "Maa" parwati ki pratigya, Ya phir jag janni Sita ka Abhimaan utha kar dekh lo, Main ye bhi nahi kahungi ki Sabhi nari ek saman hai, Kuch hai hamme "Pragya" Kuch thodi si "Agyan" hai, Jo padaye likhaye beti ko  Usko mera pranaam hai, Jab aankhen meri khulti hai  Mujhe yahi shikhaya jata hai, Tum kamjor kadi ho jeevan ki Bas Shish Jhukaya jata hai, Ye aangan teri seema hai Is duniya se tera kaam nahi, Kadi dhoop hai mere jeevan me Chaya ka koi naam nahi

KISHAN

Hai Garv mujhe main "KISHAN" hu Desh ki mitti se jura hu, Usi par karta abhimaan hu Main nahi janta hu ye ke Jo boya hai wo katunga, Jo milega mujh ko mehnat se Use kis kis ko main batunga, Mujhe baaten banani nahi aati Nahi aati koi chalaki, Thodi bhukh khatam ho jati hai Thodi rha jati hai baki, Dharti ke seene par rakh kar  Din raat main HAL chalata hu, Jo Maa Dharti se milta hai  Us me hi kaam chalata hu, Mitti me jeevan hai mera  Mathe main isse lagata hu, Gujar jata hai sara waqt yuhin Aaram nahi kar pata hu, Jis par Haq hai mera Mujhe wo mil jaye, Meri aankhon ka kamal  Usme hi khil jaye Hath faila kar nahi manguga  Kismat me nahi hai yahi janunga, Mere desh "BHARAT" me Krishi Pradhan hai  Issi baat par Dil karta Abhimaan hai, Janta hue bhi main sab kuch Anjaan hu Hai Garv mujhe main kishan hu, Desh ki mitti se jura hu  Usi par karta abhimaan hu..... ravimusicpoems.blogspot.in