Pitah wo akela sakhs jo apne bachho ko khud se jayada kamyabi dena chahata hai, apne baccho ko us maukam tak le jaane me pitah dwara kiye gaye balidan koi nahi samaj pata, lekin bacche jab chote hote hai to pitah se duriya bana ke rakhte hai ek dar ki seema banake, magar us insaan ko bhi apne baccho se pyar ki ummed rahati hai. Aksr ham apni galtiyo ki wajah se apne maa baap se dur hote chale jaate hai. Pitah aapko apne budhape ka sahara nahi balki wo majboot kadi banana chahata hai jo apne pariwar ko pyar se baandh ke rakhe. Jab koi patang aasmaan me udti hai to ek waqt aata hai jab usko lagta hai agar ye door kaat di jaaye main aasmaan chhu sakti hu, magar jab uski door kaat di jaati hai to wo kuch samay ke liye aasmaan ke or badhti hai lekin kuch hi der baad wo zameen ki or itni tezi se badhti hai aur muh ke bal girti hai. Aisa hi kuch aaj ki generation ke sath hai unko apne parents ke sath aisa lagta hai jaise koi dor unhe bandhe hue hai magar ham us dor se bandhe nahi hai wo
Follow your heart But take your Brain with you...