Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2016

Mera Gam

Waqt ke sath badalna to chahata tha Par badal na saka, Mere paas mera "Gam" tha Khushi ke sath bitana chahata tha kuch pal, Bita na saka, Mera Paas mera Gam tha. Gam ko kaise chhod du Tanha ab is tarha, Furshat hi nahi mujhe Khushiyon se mil jaane ki, Jab khushiyon ne tanha kar diya tha mujhko Us waqt mere paas mera Gam tha. Ab to gam ka Sahara hai warna dil besahara hai, Sapne bhi dekh na paya Na hi ek pal main so saka, Us waqt mere paas mera Gam tha. Anjaan tha main Gam-E-Zindgi se Khushiyon ka lalach tha, Ya kuch paane cahha thi Be wajah chalta rha..Main bas chalta rha  Wo to sunsaan rah thi, Waqt bhi hans rha tha mujh par kyoki mere paas mera gam tha. Jitna mere hisse me tha  Usse kuch jyada hi mil gya, Gam-E-Rukshat ka ful Meri zindgi me khil gya, Khusboo iski nirali thi Aankhon se nadiya bha jati thi, Bhulta nahi tha main jisko Kya yaad usko bhi a

Intezaar

Aaj phir dil kuch kahana chata hai Yadoon me teri ye rahana chahata hai, hai mujhe Intezaar tera Bol do tum ho pyar mera Bin tere main rhana paunga Tum no mili to mar hi jaunga, Kar zara aitbaar mera  Bol do tum hi pyar mera. Wo har lamha sham sawere Jo jo gujare the bin tere, Tere naam se hote the din  Din se jude the mere andhere, Andhere se to ab mera Ristha hua purana hai, Baki hai bachha jo pass mere Wo naam tere kar jana hai, Hai jana ab is duniya se wha Jahan pyar ke naam pe dhoka nahi, Ik baar jo galti ki maine Dooji ke liye mauka hi nahi, Nahi aana phir main chaunga Thokar ke siwa kya paya hai, Jaane kitne mirzo ko yha Saibha ne khud marwaya hai, Dhoke ke shiwa kya paya hai Yadoon ka ghana ik saya hai, Kya paya hai ,......ha......kya paya hai Kar zara aitbaar mera  Bol do tum hi pyar mera. Kar zara aitbaar mera  Bol do tum hi pyar mera. hai mujhe Intezaar tera Bol do tum ho pyar mera..........